Kahaniyan kai dabi padi hai dil me bas waqt nahi milta ki unpe gaur kare.Kabhi lagta hai ki kuch kahaniyan waqt se pehle so gayi hai, aur kuch ko jaise lori gakar sulaya gaya hai.Kuch ko cheel kauwe utha ke le gaye jo peeche choot gayi thi.Kuch ko hum ne seene me chupa liya ki koi chura na le jaaye.
Kaun kaun si kahaniyan sunaun ya kaun si likh du ki log samajh paaye ki wo waqt kaisa tha jab mai us waqt wo kahani jee raha tha.
Us chaand ki kahani sunaun jiske sahare raat me darr se ladai ki humne ya us chaand ki jab use dekhne ke liye ghanton apne Chat pe aasamn me dekhte rahe the ki wo hume dikhai de aur hum apni khushiyan baant sake dossron ke sath.
Ya phir us raat ki kahani sunaun jab maine samjha tha ki raat kya hoti hai ya us raat ki jab hume raat se muhabbat ho gayi.Jaane kitne dino se ye dabi hai ek roz kehne se bojh halka kar lu ya phir unse keh do ye mere kisso meri kahaniyon mera sath chhod do aur mujhe tanha reh jaane do.

No comments:
Post a Comment