Saturday, October 1, 2011

?

mai ek ummeed hoon
dil me basi huyi

mai ek chah hoon
mai ek raah hoon

mai hoon raasta
mai muqaam hoon

teri rooh hoon
teri jaan hoon

mai hoon qaayda
ek tarqeeb hoon

mai hi wajah hoon
mere hone ka...

mai parinda hoon,
ki mai khushboo hoon

mai awaaz hoon
ke zubaan hoon

meri pehchaan kya hai
ye bata na tu

mai jo bolunga
wo tu sun to le

mai aasman hoon
mai zameen hoon,

mai zaahir hoon
tu mujhe jaan le

phir poochhna
ki mai kaun tha..?

No comments:

Al Farabi on Societies

Al-Farabi was a famous philosopher from the Islamic philosophy tradition. On the question of why and how societies decline from the ideal, h...