Thursday, January 16, 2014

Sheen Kaaf Nizam

Gaon ke ghar to chhote the Lekin /
 chaand chhat se dikhayi deta tha
 ------
Unki taabeer Aur KyA hoti /
 khwab jo bhi the sab adhoore the
 -------
Kisko Fursat hai kaun padhta hai /
 apna ahwaal mukhtasar likhna 
 ------
Ye naya Dar hua safar me mujhe /
 raasta khatam na ho jaaye Kahin 
 ------
Pair ko pair , sar ko sar likhna / 
isme KyA hai ki soch kar likhna
-------
Kabhi jangal, kabhi sehra, kabhi dariya likha / 
Ab kaha yaad ki Humne tujhe KyA KyA likha  
------
Ab koi dost naya KyA karna / 
bhar gya zakhm hara KyA karna 
------
Teri aankhen Khuda mehfooz rakhe / 
Teri aankhon me hairaani bahut hai 
-------
Hamare Paas KyA shohrat na daulat /
 unhe hum Kisliye Achhe lagenge 
------
Zara do chaar sadme Aur seh lo / 
hamare falsafe achche lagenge 
------
Suna hai zindgi hai chaar din ki /
 jo bhi Dena , Isi dauraan Dena  
--------

Sher by Sheen Kaaf Nizam

No comments:

Al Farabi on Societies

Al-Farabi was a famous philosopher from the Islamic philosophy tradition. On the question of why and how societies decline from the ideal, h...