Sunday, October 16, 2011

15.10.2011

Tumhari baaton se ittefaq nahi rakhta
magar ye koi baghavat to nahi.


Hamara nazariya milta hai tumse kuch
jo kuch hai ye par chahat to nahi.


Sulagti sansen,jalta hoon mai is aag me par
kahin ye qayamat ki aahat to nahi.


Tumhe fiqr bas is baat ki hai ki
tumhare raaste me koi rukavat to nahi.


Ek toofan sa uth.ta hai mere seene k andar
 kahin ye tere aane ki aahat to nahi.


Badi khushi se mere dil me qaid ho
tumhe chhootne ki chhatpatahat to nhi.


-Shahid Ansari

No comments:

Al Farabi on Societies

Al-Farabi was a famous philosopher from the Islamic philosophy tradition. On the question of why and how societies decline from the ideal, h...